Wo kehte hain aksar

00:00 00:00

Wo kehte hain aksar, ki din raat se hain hum dono

chita ki aag, nadi ki raag se hain hum dono,

Goli barood aur gulab se hain hum dono,

Bambai ki barsaat aur kachahri ki aawaaz se hain hum dono

jaante to wo bhi hai aur tum bhi,

ki meri ye aag bas tum se hi kayam hai,

warna na jaane arson se bas raakh ka aalam hai,

par jaante ye nahi lekin,

ki bin saaye ke insaan bhi laash lagta hai,

bin parchayi ke suraj bhi kis pe naaz karta hai,

tum gulaab se zaroor hoge,

tum gulaab se zaroor hoge,

par bin kaaton ke to gulab bhi aam main bikta hai,

main sailaab si kuch bebaak si thi,

tum suljhe se sehmaye the,

mujhe haq ke liye ladna lazim laga,

aur tumhe taleem thi ki ladna kisi ke haq main nahi.

tum jawaab ki khoj main daud padte,

aur main bas sawaloon main uljhi rehti,

tum chuttiyon ke beech kaam karte,

aur main kaam ke beech chuttiyaan samet ti,

wo kehte hai ki bilkul ek se nahi hain hum dono,

are zalim, khud se bhi koi ishq kar sakta hai bhala?

Tumhein bas thamne ka kahuf tha,

aur to par hi kaat diye the,

tum ghabrate hon, ki kahin kabhi do pal ki saans lene ke liye,

ruk jao to tumhein wo saaye jakad lenge,

wahi saaye, jo tumhare khayaalat aur sawalon ka bojha liye daud rahe hain,

ki kahin kabhi tum ek chai ki pyaali ke saath ek aahat de do unhe,

khair! tum jatate nahin,

kuch batate nahi,

aur main?

main kuch chupati nahi, sar jhukati nahi,

kyunki mere paas khone ke liye bas tum hi ek zevar ho,

lekin ye kaise keh doon tumse ki tumhari to har zaat qeemti hai?

shayrad isiliye din aur raat ki bhi doori kyu na ho, ye doori ki zillat jatati nahi,

Lekin ab lagta hai ki

mere kadam tumhari udanon sa nahin ho sakte,

itni door aa chuki hoon,

ab tumhari musafir nahi ho sakti,

tum kho jao unchaiyoon main,

aur main bas mil jaaongin samundaron main,

haan lekin jaate jaate,

tumhare aasmaan ka ek tukda,

apni aasu ki bundoon main

samet kar yaad rahungi har aahon main

jaa ke keh do un sab se ki aasman se ho tum aur main hoon gehraiyon si

aur jab kabhi bhi chupke se sawan main

chalkao tum jaam aankhon se

samet ke wo yadein,

laut aaongi main bhi badal main